Aap Artemis CR600W ke baray mein kitna jaantay hain? - Scopes and Barrels

Aap Artemis CR600W ke baray mein kitna jaantay hain?

Jab pichlay saal Artemis ne dunya ki sab se sasti tareen PCP Airgun (PR900W) introduce kari thi tu loug bohot khush thay ke aik sasti PCP Airgun jo ke quality mein bhi behtareen hai, market mein agayee hai. Sab theek tha magar aik masla tha. 

Masla yeh tha ke jesay har PCP Airgun ke saath aik adad PCP pump lena zaroori hota hai waisay he PR900W ke saath bhi aik PCP pump ki zaroorat parhti hai, kiun ke har PCP Airgun ko taqreeban 30-35 shots ke baad refill kerna parhta hai. 

Aisay mein Artemis ne CR600W ko introduce kara hai. CR600W shape mein taqreeban PR900W ki tarah hai, balkay dono mein farak dikhna inteha se ziyada mushkil hai. CR600W chotay size ke Co2 capsules ki mada se chalti hai jo ke market mein aam miltay hain aur PCP pump ke muqablay mein kaafi sastay hotay hain. Yeh Co2 capsules aam market mein 200-250 rupee mein asaani se mil jatay hain. 

 

Iss wajah se kayee loug PR900W ki jagah CR600W ko pasand kerne lagay hain jab ke in dono ke FPS mein kaafi farak hai, PR900W ka FPS 800 (5.5 mm) hai jab ke CR600W ka FPS 550 (5.5 mm) hai. Jab ke dono ki price mein koi khas farak nahi hai. 

 

CR600W ka muqabla Gamo Shadow 1000 aur Gamo Whisper X se price wise kara ja sakta hai, CR600W inn se iss lihaz se behtar hai ke isko load kernay mein mehnat nahi kerni parhti jab ke Co2 cylinder aam market mein asani se available hain.

 

  

Agar aap iss product ke baray mein mazeed jaanna chahtay hain tu idhar click karain ya call/ WhatsApp karain 0321-2060909 aur 0345-0060909

 

Leave a comment