Face to Face: Beretta CX4 Storm vs. Sig Sauer MCX (In The Ring)
Yeh aik 88g CO2 tactical dogfight hai, Semi-Auto CO2 Bantamweight Division mein.
Semi-auto CO2 plinkers hamari chand favorite airguns mein sey hain.Hamesha tayar, teezi sey kaam kerney kay liye indoors ya outdoors, fast action aur qareebi mushahibat apni powder burn kerney ki salahiyat sey yeh aik zabardast rasta banati hain jis sey aap apni maharat ko har lamhe teez bana saktey hain range mein jatey huay. Lekin yahan kiya farq hai?, Aur agar hai, inn kuch sab sey mashoor CO2 repeaters kay darmiyaan jo keh market mein hain tu kiya aik dusaray sey behtar hain jab baat hu power, accuracy, aur design ki? Ab waqt hai yeh sab kuch maloom kerney ka, aik Amney Samney Muqabley mein, iss dafa Semi-Auto CO2 Bantamweight Division mein!
Ayeye Dono Hareifoon sey miltey hain.
Blue corner mein, Italian parent company kay design ki tarah, aur Germany mein banaya gaya, yeh hai Beretta CX-4 Storm Air Rifle. Weight mein 5.25 lbs ki yeh lightweight aur ergonomic carbine kuch arsey sey backyard shooters ki pasandedah air rifle hai. Yeh replica fire arm asal mein 2007 mein banayi gayi. Integrated iron sights aur aik full-length Picatiny top rail kay sath, CX-4 ko taqreeban har mojood nishanay par set kiya ja sakta hai. 30 round ka magazine aur 88 gram CO2 canisters ka istemaal iss baat ko yaqeeni banati hai keh aapney ney bahut waqt guzara hai trigger ko pull kertey huay banisbat re-loading kertay huay.
Red corner mein, Sig Sauer MCX Air Rifle aik misali bacha. Weight mein 6.6 lbs MCX SHOT Show 2015 mein Belle of the Ball tha. Kuch lengthy production delays kay baad, MCX akhir kar public kay liye dastiyaab hai. Aik unique belt-fed rotary magazine design ki khusiyat kay sath jis mein 30 rounds (.177 caliber) pellet ammunition ki gunjaish hai, Yeh fast shooting carbine puri duniya mein airgunners ki favorite bun gayi hai. Iss mein mojood hai aik key-mod free float style rail jis sey MCX tayar hai customized hone kay liye aap kay munpasand content sey.
Chalein inn dono ko ring mein bhejtey hain aur dekhtey hain keh kaun top par ata hai!
Round 1: Overall Construction
Beretta CX4 Storm airgun intihahi compact hai aur bahut ergonomic.Iss ka chassis aik bahut zor bardasht kerne wale polymer sey banaya gaya hai jo bahut mazboot aur lightweight hai. CX4 mein aik mustaqil tor par military style ki iron sights bhi shamil hain jo adjustable hai dono windage aur elevation kay liye. CX4 Storm mein aik full-length Picatinny top rail hai optics ko attach kerney kay liye, (high mounts darkar hongay iron sights ko clear kerne kay liye). Barrel bani hui hai steel sey jis ko dhanpa gaya hai aik blued steel sleeve sey. CX4 mein aik cross bolt safety bhi hai jo keh trigger ko bilkul bayasar ker deti hai, jab keh safety ki jagah ajeeb hai aur aik hath sey asani sey istemaal nahin ho sakti hai. Issi tarh, magazine ka release baytuka hai jo keh side mein diya gaya hai jis sey thumb ko stretch kerna perta hai aur asani sey operate ho jata hai hath ki support sey hand agar mags ko teezi sey badalna chahein tu.
Sig MCX airgun ki ghar par mojoodgi kisi ko bhi bilkul theekh mehsoos hogi jo keh tajurba raktey hain modern sporting rifles ka jaise keh AR15. MCXs ka receiver, trigger, aur controls tamaam metal kay banay huay hain aur bahut asli lagtey hain. Stock,jis mein 88 gram CO2 canister dalta hai, aur tu aur KeyMod free-float style rail jo polymer ki bani hui hai. Agarche iss ki wajah sey MCX ki overall kum hai, humney kuch waqiyat dekhe hai polymer stocks kay crack hone kay harder use par. MCX ya tu iron sights kay sath ati hai , aik 1-4 power scope, ya aik red dot sight kay sath (aap kay version purchase par munhasir hai) MCX ki barrel, CX4 ki tarah, aik steel inner barrel hai jis ko dhanpa gaya hai outer sleeve sey, MCX mein aik mazak bhi hai, aik non-functioning, suppressor jis kay under barrel hoti hai.
Winner: Agarche MCX meri raye mein, ziyyadah araamdeh aur istimaal mein asan hai, lekin stock kay design mein fail hone sey aur cracks jo keh hum ney dekay hain beshak zaroori nahin keh har dafa hoon. CX4 ney yeh round jeta hai behtreen durable construction ki wajah sey.
Round 2: Trigger
CX-4 Storm mein aik 2 stage, non-adjustable trigger hai. First stage pull is light aur smooth hai lekin second stage wazeh tor par heavy break kerta hai. Bayshak teezi sey kaam kerne kay liye yeh perfectly serviceable trigger hai lekin phir bhi real accuracy work kay liye yeh heavy hai. Jab hum ney iss ko apne Lyman trigger sey test kiya pull scale par, tu iss ney consistent aur hefty 10 lbs 10 oz pull kiya. MCX ka trigger bhi 2 stage non-adjustable hai phir bhi yahan kuch farq hai. First stage pull kuch heavier hai, iss ki bari wajah yeh hai keh first stage pull asal mein magazine ki belt ko chala bhi raha hai, next pellet ko firing position par rotate kertay huay. Second stage break lighter hai CX4 kay muqabley mein aur trigger pull hota hai 9 lbs 7 oz. Lyman gauge mein.
Winner: Sig Sauer MCX ney yeh round jeta hai, lekin asal mein in dono mein sey koyi bhi trigger woh precision shooting nahin kerta hai jo keh aap chatey hain.
Round 3: Magazine Design
Dono guns kay magazine designs kafi jadeed aur munfarid hain, aur yeh dono mukhtalif jawab detey hain unn mushkilat ka keh kaise 30 rounds.177 pellet ammunition ko qabil aitamad andaz mein air rifle mein feed kiya jaye.Dono pellets ko hold kerney kay liye aik belt system istemal kerti hain aur phir inn ko firing position kay liye feed kerti hain. CX4 aik magazine istemal kerti hai jo keh dusray pellet magazines sey bahut mushhibat rakhta hai lekin bajay aik rotary wheel kay, Beretta CX4 mein aik continuous belt hai jo magaine kay bahiri side kay atraf mein ghomti hai. Iss design sey magazine ki loading bahut teez aur bahut asan ho jati hai. Phir bhi yeh aik bahut nazuk system hai aur kyun keh yeh magazine sey bahur ki taraf hai, isliye iss baat ka khatra hota hai keh matti aur keechar rukawat daal sakti hain iss kay belt system mein. Isi tarah MCX magazine mein bhi belt istemal ki jati hai, lekin iss ko magazine kay ander rakha gaya hai. load kerney kay liye belt ko magazine sey pura alag kiya jata hai, pellets ko belt mein pressed kiya jata hai belt aur phir belt ko wapas magazine mein laga diya jata hai. Yeh tareqa CX4 kay muqabley mein sust hai lekin iss ko teez kiya ja sakta hai agar belt ko table par becha ker iss mein pellets ko dono hatoon sey press karein. YEh kyun keh aik closed system hai iss liye iss baat ka khatra kum hota hai keh matti aur kechar aap kay spare magazines mein bhi jaye (agar aap ney liye huay hain tu).
Winner: Beshak yeh dono designs bahut soch samajh ker banaye gaye hain aur dono behtreen kaam kerte hain, hamein yeh round CX-4 ko detay hain. CX-4 magazines load kerney mein nihayat asan haine aur belt iss kay sath mustaqil attached hai iss ka matalab hai keh khoney kay chances kum hain. Sirf aik kharabi yeh hai keh extra magazines ley ker chalna asan aur dekhney mein jazib nazar bhi nahi hai!
Round 4: Power
Iss test kay liye hum ney 10 shots chronograph mein sey fire kiye Crosman Premier Ultra Magnum 10.5 grain pellets sey. Shots ko fired kiya gaya 1 har second kay hisaab sey inn ki velocity mein numaya tabdeli dekhney kay liye o range par. hamein yeh results hasil huay:
Winner: Beretta CX-4 ko Sig MCX kay muqabley mein power mein edge hasil hai. Agarche dono guns teez hain (hum inn ko shikaar kay liye recommend nahi kerte hain!) CX-4 mein thori velocity ziyada hai jo keh judges ko favor kerne kay liye kafi hai.
Accuracy:
Crossman 10.5 grain pellets ko dobara istemaal kertey huay, hum ney inn dono guns ko 25 yards par fire kiya10 shot groups mein. Hum ney sirf iron sights ko istemaal kiya iss test kay liye kyun keh hum chatey thay keh kistarah ki accuracy koyi inn rifles sey expect ker sakta hai jis ney abhi abhi yeh khareedi ho.
Winner: MCX wazih tor par wiiner hai, hamarey khiyaal maein iss ki bari wajah behter sight picture hai jo keh MCX pey dey gayi hai. CX4 ki sight nihayat sada hai aur iss kay aperture sight sey spot ko har dafa ko center kerna bahut dushwar hai.
Conclusion: Yeh aik bahut sakth match tha jasey keh ziyada tar tests mein dono mudemuqabil taqreban barar thay. Yaqeinan, yeh samajh mein aata hai keh dono yaksaan hain kayi phelu mein jis tarhan ziyada tar CO2 repeating carbines yaksaan hain apni construction mein lekin Beretta CX-4 Storm bamushkil inn sab sey upar aye hai. Sirf aik inthebah yeh ho sakta hai keh Sig Sauer MCX air gun ziyada accurate, sath sath kum priced hai jo yaqeenan logoo kay liye jeet hai. Baishak hum samajhtey hain keh shooters bahut kush honge, inn mein sey kisi bhi gun sey apne backyard fun kay liye, lekin agar power aur payedari aap ka #1 concerns hain tu, CX4 aap kay liye hai.